ramazan ul mubarak me iftar ke waqt ki duaen
iftar ka waqt bada qimti hota hai auraton aur mardon se guzarish hai is is waqt ki ahmiyat ko janen aur is waqt allah se khoob gid gida kar dua karen allah zaroor qubool karega
hadees me ata hai ke iftar ke waqt rozadar ki dua rad nahee ki jati(ibn e maja,hakim)
iftari karte waqt ki dua
allahumma laka sumtu wa ala rizqika aftartu
(ay allah maine tere liye roza rakha aur tere ata karda rizq se roza kholta hun)
iftari ke baad ki dua
zahabazzamau wab tallatil urooqu wa sabatal ajru insha allah
(pyas bujh gai ragen tar hogain aur ajr sabit hoga insha allah)